Pallavi Mishra

nafrat ki aag jalne lagi tere shahr mein

Pallavi Mishra

Sitamarhi, Bihar, India

1962
nafrat kī aag jalne lagī tere shahr meñ
ye baat aaj khalne lagī tere shahr meñ
jo āshnā the kal mire sab gum kahāñ hue
hijrat kī chaah palne lagī tere shahr meñ
marne kā mārne kā ye kyā daur aa gayā
jiine kī aas Talne lagī tere shahr meñ
merā yahāñ se Thor-Thikāna ujaḌ gayā
āñdhī ajiib chalne lagī tere shahr meñ
har dil meñ kaun bharne lagā dushmanī yahāñ
shafqat bhī haath malne lagī tere shahr meñ
qudrat ḳhafā huī na kahīñ laa.e zalzala
karvaT zamīñ badalne lagī tere shahr meñ
kaalī ghaTā kī qaid meñ vo kab talak rahe
ab chāñdnī machalne lagī tere shahr meñ
Top Urdushayar.com