qurbateñ baḌh ga.ī nigāhoñ kī
ab hadeñ ḳhatm haiñ libāsoñ kī
dhuup roke khaḌī hai kis ke liye
ye sar-e-rah qatār peḌoñ kī
aur phailegā aag kā dariyā
aur jhulsegī khaal chehroñ kī
ḳhud-kushī kā safar bhī sahl nahīñ
bhiiḌ sī hai lagī savāloñ kī
kaun ḳhud meñ samo sakā hai kabhī
vus.ateñ lā-zavāl lamhoñ kī
kab se dohrā rahā huuñ maiñ 'muztar'
ek fahrist chand nāmoñ kī