yuuñ hujra-e-ḳhayāl meñ baiThā huā huuñ maiñ
goyā mirā vajūd nahīñ vāhima huuñ meñ
phailā hai jab se ghar meñ samundar sukūt kā
be-chārgī kī chhat pe khaḌā chīḳhtā huuñ maiñ
dekho mirī jabīñ pe mire ahd ke nuqūsh
rakkho mujhe sambhāl ke ik aa.ina huuñ maiñ
ab tak shab-e-qayām kā ik silsila bhī thā
ab āftāb ban ke safar par chalā huuñ maiñ
ḳhud se to rū-shanās abhī tak na ho sakā
ye ittifāq hai ki jo tum se milā huuñ maiñ