Farooq muztar

ye gard-e-rah ye mahaul ye dhuan jaise

Farooq muztar

Thanamandi, Jammu and Kashmir, India

1954
ye gard-e-rāh ye māhaul ye dhuāñ jaise
havā ke ruḳh pe ho tahrīr dāstāñ jaise
hamārā rabt-o-ta.alluq hai chand shāmoñ kā
shajar pe tā.ir-e-mausam kā āshiyāñ jaise
ajiib ḳhauf sā hai pattharoñ kī zad par huuñ
badan ho apnā koī kāñch kā makāñ jaise
ye āsmān-o-zamīñ kā tilism kab TuuTe
har ik vajūd muallaq ho darmiyāñ jaise
lab-o-dahan se koī kaam hī nahīñ letā
har ek baat hai nā-qābil-e-bayāñ jaise
Top Urdushayar.com