naqsh āḳhir aap apnā hādisa ho jā.egā
aur tai vahm-o-yaqīñ kā marhala ho jā.egā
guuñj uTTheñge dar-o-dīvār apne karb se
lafz jo tishna hai ma.anī-āshnā ho jā.egā
jism bhī pighleñge saa.e bhī na Thahreñge kahīñ
jaane kab ye sabz manzar bhī havā ho jā.egā
log sab us kī kahānī jaan leñge harf harf
aur vo ḳhush-posh khul kar be-ridā ho jā.egā
peḌ ugleñge syāhī kā samundar dekhnā
mausam-e-ḳhush-rañg 'muztar' zaḳhm-e-pā ho jā.egā