Farooq muztar

apni aankhon ke hisaron se nikal kar dekhna

Farooq muztar

Thanamandi, Jammu and Kashmir, India

1954
apnī āñkhoñ ke hisāroñ se nikal kar dekhnā
tū kisī din apne na hone kā manzar dekhnā
ik adam-ma.alūm-muddat se maiñ terī zad meñ huuñ
ḳhud ko lamha bhar mirā qaidī banā kar dekhnā
shaam gahre pāniyoñ meñ Duub kar ek baar phir
shahr ke maujūd manzar ko palaT kar dekhnā
dekhnā pichhle pahar ḳhvāboñ kī ik andhī qatār
āsmāñ par TūTte tāroñ kā manzar dekhnā
merā apne aap se bāhar bikhar jaanā tamām
aur ḳhizāñ-dīda parindoñ kā mirā ghar dekhnā
rañg apne aap hī ab sab ke sab zaa.il hue
hai abas dīvār par ye naqsh-o-paikar dekhnā
maiñ ki ḳhud muztar fasīl-e-jism ke is paar huuñ
kyā bhañvar kā ḳhauf ab kaisā samundar dekhnā
Top Urdushayar.com