shafaq-e-shab se ubhartā huā sūraj socheñ
barf kī tah se koī chashma ubaltā dekheñ
raushnī dhuup havā mil ke kiyā sab ne niDhāl
ab tamannā hai kisī andhe kueñ meñ bhaTkeñ
jalte-bujhte hue is shahr pe kyā kuchh likkhā
aaj sab likkhā huā aañkh pe lā kar rakh deñ
jaane kyuuñ Dūbtā rahtā huuñ maiñ apne andar
jaane kyuuñ sūjhtī rahtī haiñ ye ulTī bāteñ
chhīn leñ apnī muravvat kā ye ziina gar ham
aaj 'muztar' use ākāsh se girtā dekheñ