maiñ tā.ir-e-vajūd yā barg-e-ḳhayāl thā
bas is qadar hai yaad ki maiñ Daal Daal thā
lamhoñ meñ mujh ko baañT gayā koī kaalā haath
varna maiñ aap apnā tulū-o-zavāl thā
chehre khulī kitāboñ kī mānind the magar
be raushnā.ī likkhe ko paḌhnā muhāl thā
'muztar' har aa.ine meñ thā aks-e-bahār bas
maiñ apnī aarzū se bahut pā.emāl thā