soch bhī us din ko jab tū ne mujhe sochā na thā
koī dariyā dasht ke atrāf meñ bahtā na thā
us ko kab fursat thī jo chehroñ ko paḌhtā ġhaur se
varna sat.h-e-ā.ina kā har varaq saada na thā
jaane kyuuñ ab raat din ghar meñ paḌā rahtā hai vo
pahle yuuñ ḳhud meñ kabhī simTā huā rahtā na thā
ḳhushbuoñ rañgoñ ko pī letī hai aakar zard-shām
peḌ hai andesha-e-anjām to sūkhā na thā
shāh-rāhoñ se gurezāñ hai magar kuchh soch kar
ādatan pahle to vo pagDañDiyāñ chaltā na thā