Farooq muztar

har nae moD dhup ka sahra

Farooq muztar

Thanamandi, Jammu and Kashmir, India

1954
har na.e moḌ dhuup kā sahrā
kārvāñ-sāz rah ga.e tanhā
sāya-e-shāḳh-e-gul se nā-mānūs
vo koī pāltū kabūtar thā
vo koī reshmī libās meñ thī
maiñ koī phuul thā jo murjhāyā
chāñdnī chaar din bahut soī
pāñchveñ din ḳhumār TuuT gayā
machhliyāñ ḳhud-fareb hotī haiñ
ik machhere na tabsira likkhā
vāpsī ab gharoñ meñ nā-mumkin
duur tak be gumān sannāTā
ās.māñ soch kar uḌaan bharī
chaar samtoñ se ik ḳhalā ubhrā
kashtiyāñ sāhiloñ pe Duub chalīñ
vo khule pāniyoñ meñ kuud paḌā
raushnī ke halīf bhugteñge
tīrgī kī jabīn par likkhā
Top Urdushayar.com