ab ke ajab safar pe nikalnā paḌā mujhe
rāheñ kisī ke naam thiiñ chalnā paḌā mujhe
tārīk shab ne saare sitāre bujhā diye
maiñ sub.h kā charāġh thā jalnā paḌā mujhe
yārān-e-dasht raunaq-e-bāzār ban ga.e
sunsān rāstoñ pe nikalnā paḌā mujhe
har ahl-e-anjuman kī zarūrat thī raushnī
maiñ sham-e-anjuman thā pighalnā paḌā mujhe
zālim bahut hai shiddat-e-ehsās-e-āgahī
akasr parā.ī aag meñ jalnā paḌā mujhe
rāhoñ ke pech-o-ḳham meñ balā ke tilism the
chalnā baḌā muhāl thā chalnā paḌā mujhe
āsāñ nahīñ thā zulmat-e-shab se muqābla
sar par jalā ke aag pighalnā paḌā mujhe