kis ehtiyāt se sapne sajāne paḌte haiñ
ye sañg-reze palak se uThāne paḌte haiñ
bahut se dard to ham baañT bhī nahīñ sakte
bahut se bojh akele uThāne paḌte haiñ
ye baat us se patā kar jo ishq jāntā ho
paloñ kī raah meñ kitne zamāne paḌte haiñ
har ek peḌ kā saayā nahīñ milā kartā
bilā ġharaz bhī to paude lagāne paḌte haiñ
kisī ko dil se bhulāne meñ der lagtī hai
ye kapḌe kamre ke andar sukhāne paḌte haiñ
kahāñ se lāoge tum is qadar jabīn-e-niyāz
qadam qadam pe yahāñ āstāne paḌte haiñ