bojh ḳhvāboñ kā un āñkhoñ se bahut Dhoyā thā
aur phir maiñ bhī natīje meñ lahū royā thā
dukh meñ shirkat kā yaqīñ ho bhī use to kaise
dil se royā thā maiñ āñkhoñ se nahīñ royā thā
dekh kar fasl añdheroñ kī ye hairat kaisī
tū ne khetoñ meñ ujālā hī kahāñ boyā thā
gum agar suuī bhī ho jaa.e to dil dukhtā hai
aur ham ne to mohabbat meñ tujhe khoyā thā
jiit is baar bhī kachhve kī huī hairat hai
dauḌ meñ ab ke to ḳhargosh nahīñ soyā thā
jism nāsūroñ se sajnā hī thā tum ne 'shādāb'
paTTiyāñ dhoī thiiñ zaḳhmoñ ko kahāñ dhoyā thā