zaḳhmoñ kī dukānoñ pe ḳharīdār bhī aa.e
bāzār hai to raunaq-e-bāzār bhī aa.e
shānoñ pe yahāñ sar kī jagah kaase lage haiñ
gar sar kī bahālī ho to dastār bhī aa.e
lo haq ke liye apnī jaḌeñ chhoḌ diiñ ham ne
ab ghar se nikal kar koī ansār bhī aa.e
koshish kā ye chaak aur ghumā.ūñgā maiñ kab tak
jīvan pe mire ab koī ākār bhī aa.e
kaam ā.eñge ye chāk-e-garebāñ ke rafū meñ
kuchh ġham nahīñ hisse meñ agar ḳhaar bhī aa.e