jab le ke hathelī par ham jaan nikalte haiñ
zulmat meñ ujāloñ ke imkān nikalte haiñ
phir le ke hisāb-e-dil pachhtānā paḌā us ko
kuchh us pe hamāre hī ehsān nikalte haiñ
ye shahr rahā hogā shā.ista mizājoñ kā
is shahr ke malbe se gul-dān nikalte haiñ
ai ahl-e-nazar tere ḳhutbāt pe bhārī haiñ
dīvāne ke muñh se jo hizyān nikalte haiñ