us ko hamārī zaat se inkār bhī nahīñ
lekin vo e'tirāf ko tayyār bhī nahīñ
roġhan charāġh-e-chashm meñ jitnā thā jal chukā
aur shahr-e-jāñ meñ sub.h ke āsār bhī nahīñ
be-kār DhūñDhte ho samā.at meñ ḳhāmiyāñ
pahlī sī ghuñgrūoñ meñ vo jhankār bhī nahīñ
do-chār pal qayām kā kuchh to javāz ho
kūche meñ us ke sāya-e-dīvār bhī nahīñ
tujh ko suḳhan-shanās ba-har-hāl chāhiye
'shādāb' terā koī taraf-dār bhī nahīñ