jab bhī koī kitāb likkhūñgā
tere naam intisāb likkhūñgā
dil to kahtā nahīñ magar us ko
maslahat se janāb likkhūñgā
haath to chhoḌ gardish-e-daurāñ
us ke ḳhat kā javāb likkhūñgā
aa.ine par to merā zor nahīñ
maiñ tujhe lā-javāb likkhūñgā
terā haq hai tū jo kahe mujh ko
maiñ to tujh ko gulāb likkhūñgā
aa.egī jab basant-pūrnimā
maiñ kisī kā 'shabāb' likkhūñgā