hameñ ḳhabar thī bachāne kā us meñ yaarā nahīñ
so ham bhī Duub ga.e aur use pukārā nahīñ
ḳhud āftāb mirī raah kā charāġh bane
magar ye baat mire chāñd ko gavārā nahīñ
jo us meñ utrī to tūfān hī mileñge mujhe
maiñ jāntī huuñ ki vo mauj hai kinārā nahīñ
ajab fazā hai ki rañg-e-numūd-e-sub.h bhī hai
siyāh raat ne bhī pairahan utārā nahīñ
vajūd jis ko kisī mo'tabar shajar ne diyā
havā kī zad meñ bhī tinkā vo be-sahārā nahīñ
jalegā ḳhud bhī sahar tak mujhe bhī lau degā
charāġh-e-shām koī baḳht kā sitārā nahīñ