Yasmeen Hameed

dariya ki rawani wahi dahshat bhi wahi hai

Yasmeen Hameed

1951
dariyā kī ravānī vahī dahshat bhī vahī hai
aur Dūbte lamhāt kī sūrat bhī vahī hai
alfāz bhī likkhe haiñ vahī nok-e-qalam ne
aurāq pe phailī huī rañgat bhī vahī hai
kyuuñ us kā sarāpā na huā naqsh-ba-dīvār
jab maiñ bhī vahī huuñ mirī hairat bhī vahī hai
kyuuñ barf sī paḌtī hai kahīñ shahr-e-darūñ par
jab muzhda-e-ḳhurshīd meñ hiddat bhī vahī hai
kyuuñ DhūñDne nikle haiñ na.e ġham kā ḳhazīna
jab dil bhī vahī dard kī daulat bhī vahī hai
raste se mirī jañg bhī jaarī hai abhī tak
aur paañv tale zaḳhm kī vahshat bhī vahī hai
tā-umr nigāhoñ ke liye ek sā manzar
saa.e kī tarah saa.e kī qīmat bhī vahī hai
Top Urdushayar.com