atā-e-abr se inkār karnā chāhiye thā
maiñ sahrā thī mujhe iqrār karnā chāhiye thā
lahū kī aañch denī chāhiye thī faisle ko
use phir naqsh-bar-dīvār karnā chāhiye thā
agar lafz o bayāñ sākit khaḌe the dūsrī samt
hamīñ ko ranj kā iz.hār karnā chāhiye thā
agar itnī muqaddam thī zarūrat raushnī kī
to phir saa.e se apne pyaar karnā chāhiye thā
samundar ho to us meñ Duub jaanā bhī ravā hai
magar dariyāoñ ko to paar karnā chāhiye thā
dil-e-ḳhush-fahm ko sub.h safar kī raushnī meñ
shab-e-ġham ke liye tayyār karnā chāhiye thā
shikast-e-zindagī kā aks ban kar rah gayā hai
vahī lamha jise shahkār karnā chāhiye thā