Yasmeen Hameed

mujhe aagahi ka nishan samajh ke miTao mat

Yasmeen Hameed

1951
mujhe āgahī kā nishāñ samajh ke miTāo mat
ye charāġh jalne lagā hai is ko bujhāo mat
mujhe jāgnā hai tamām umr isī tarah
mujhe sub.h-o-shām ke silsile meñ milāo mat
mujhe ilm hai mire ḳhāl-o-ḳhad meñ kamī hai kyā
mujhe aa.ine kā tilism koī dikhāo mat
maiñ ḳhulūs-e-dil kī bulandiyoñ ke safar pe huuñ
mujhe dāstān-e-fareb koī sunāo mat
mujhe dekh lene do sub.h-e-fardā kī raushnī
mirī aañkh se abhī haath apnā haTāo mat
vahī peḌ hai vahī shāḳh hai vahī naam hai
jo girā hai phuul yahāñ se us ko uThāo mat
mujhe tah meñ jā ke uchhālne haiñ guhar ka.ī
maiñ huuñ mutma.in mujhe Dūbne se bachāo mat
tumheñ be-maqām rafāqatoñ kī talāsh hai
mirā shahr shahr-e-sabāt hai yahāñ aao mat
Top Urdushayar.com