parda āñkhoñ se haTāne meñ bahut der lagī
hameñ duniyā nazar aane meñ bahut der lagī
nazar aatā hai jo vaisā nahīñ hotā koī shaḳhs
ḳhud ko ye baat batāne meñ bahut der lagī
ek dīvār uThā.ī thī baḌī ujlat meñ
vahī dīvār girāne meñ bahut der lagī
aag hī aag thī aur log bahut chāroñ taraf
apnā to dhyān hī aane meñ bahut der lagī
jis tarah ham kabhī honā hī nahīñ chāhte the
ḳhud ko phir vaisā banāne meñ bahut der lagī
ye huā tū ki har ik shai kī kashish maañd paḌī
magar is moḌ pe aane meñ bahut der lagī