musalsal ek hī tasvīr chashm-e-tar meñ rahī
charāġh bujh bhī gayā raushnī safar meñ rahī
rah-e-hayāt kī har kashmakash pe bhārī hai
vo bekalī jo tire ahd-e-muḳhtasar meñ rahī
ḳhushī ke daur to mehmāñ the aate jaate rahe
udāsī thī ki hamesha hamāre ghar meñ rahī
hamāre naam kī haqdār kis tarah Thahre
vo zindagī jo musalsal tire asar meñ rahī
na.ī uḌaan kā rasta dikhā rahī hai hameñ
vo gard pichhle safar kī jo bāl-o-par meñ rahī