daulat-e-dard sameTo ki bikharne ko hai
raat kā āḳhirī lamha bhī guzarne ko hai
ḳhisht-dar-ḳhisht aqīdat ne banāyā jis ko
abr-e-āzār usī ghar pe Thaharne ko hai
kisht-e-barbād se tajdīd-e-vafā kar dekho
ab to dariyāoñ kā paanī bhī utarne ko hai
apnī āñkhoñ meñ vahī aks liye phirte haiñ
jaise ā.īna-e-maqsūm sañvarne ko hai
jo Dubo.egī na pahuñchā.egī sāhil pe hameñ
ab vahī mauj samundar se ubharne ko hai
kunj-e-tanhā.ī meñ khiltā hai taḳhayyul merā
aur maiñ ḳhush huuñ ki ye gul phir se nikharne ko hai