Yasmeen Hameed

koi puchhe mere mahtab se mere sitaron se

Yasmeen Hameed

1951
koī pūchhe mire mahtāb se mere sitāroñ se
chhalaktā kyuuñ nahīñ sailāb meñ paanī kināroñ se
mukammal ho to sachchā.ī kahāñ taqsīm hotī hai
ye kahnā hai mohabbat ke vafā ke hissa-dāroñ se
Thahar jaa.e dar o dīvār par jab tīsrā mausam
nahīñ kuchh farq paḌtā phir ḳhizāoñ se bahāroñ se
bagūle aag ke raqsāñ rahe tā der sāhil par
samundar kā samundar chhup gayā uḌte sharāroñ se
mirī har baat pas-manzar se kyuuñ mansūb hotī hai
mujhe āvāz sī aatī hai kyuuñ ujḌe dayāroñ se
jahāñ tā-hadd-e-bīnā.ī musāfir hī musāfir hoñ
nishāñ qadmoñ ke miT jaate haiñ aisī rahguzāroñ se
Top Urdushayar.com