ik be-panāh raat kā tanhā javāb thā
chhoTā sā ik diyā jo sar-e-ehtisāb thā
rasta mirā tazād kī tasvīr ho gayā
dariyā bhī bah rahā thā jahāñ par sarāb thā
vo vaqt bhī ajiib thā hairān kar gayā
vāzeh thā zindagī kī tarah aur ḳhvāb thā
pahle paḌāv se hī use lauTnā paḌā
lambī masāfatoñ se jise ijtināb thā
phir be-numū zamīn thī aur ḳhushk the shajar
be-abr āsmāñ kā chalan kāmyāb thā
ik be-qayās baat se mansūb ho gayā
phailā huā hurūf meñ jo iztirāb thā
apnī nigāh par bhī karūñ e'tibār kyā
kis maan par kahūñ vo mirā intiḳhāb thā