pahle to shahr bhar meñ misāl aa.ine hue
phir gard se sarāpā savāl aa.ine hue
chehra chhupā.e phirtā hai gahre naqāb meñ
ik shaḳhs ko to lau kī misāl aa.ine hue
ham ko sazā milī ki ujāle the aa.ine
so apnī jaañ pe saarā vabāl aa.ine hue
phir yuuñ huā ki zabt kī sūrat nahīñ rahī
aur shahr-e-be-navā ke ġhazāl aa.ine hue
jin ke sabab se ham hue ma.atūb shahr meñ
ik vaqt aa gayā vo ḳhayāl aa.ine hue
vo dard jī uThā ki garebāñ the taar taar
vo rut umaD paḌī ki nihāl aa.ine hue