ye rahguzar to kisī rahguzar kā dhokā hai
ki umr bhar kā safar bhī safar kā dhokā hai
ḳhabar kī raushnī ab raushnī nahīñ kartī
so ho na ho ye ḳhabar bhī ḳhabar kā dhokā hai
yahāñ to hadd-e-nazar tak hai ek vīrānī
mire gumāñ ye tujhe kis nagar kā dhokā hai
dikhā.ī bhī to kahīñ de vo dhuup aane par
shajar vo hai ki hamīñ ko shajar kā dhokā hai
isī liye to ye sahrā aziiz hai ki yahāñ
na shor-e-shahr-e-balā hai na ghar kā dhokā hai
badaltī jaatī hai duniyā kuchh is tarah 'ḳhālid'
ki jo nazar meñ hai samjho nazar kā dhokā hai