ashkoñ se dhul ke ā.ina-ḳhāna badal gayā
bārish huī to mausam-e-rafta badal gayā
jab bhī sambhālā chāñd ne barbād shahr ko
dīvār-o-dar vahī rahe naqsha badal gayā
ik dasht-e-be-amāñ meñ safar kar rahe the ham
sāñseñ ukhaḌ ga.iiñ kabhī rasta badal gayā
utrī nazar se gard to manzar kuchh aur thā
yuuñ lag rahā thā jaise vo chehra badal gayā
har baar pahuñche ham tire me.aar tak magar
har baar terā ham se taqāzā badal gayā
pahle to intiqām ne shal kar diye havās
phir jaane kyā huā ki irāda badal gayā
is baar tere harf-e-tasallī na bin sake
is baar terī baat kā lahja badal gayā
kam kam rahā thā din ke samay dil meñ terā aks
shab aa ga.ī to jaise ye shīsha badal gayā