Khalid Mahmood Zaki

hum to aasan samajhte the ki rasta kam tha

Khalid Mahmood Zaki

ham to āsān samajhte the ki rasta kam thā
is masāfat meñ mohabbat kā ilāqa kam thā
yuuñ to dīvār ke pahlū meñ khaḌe the ham bhī
dhuup aisī thī ki dīvār kā saaya kam thā
kaisā lamha thā ki ham tark-e-safar kar baiThe
ḳhvāb kam the na tire ġham kā asāsa kam thā
qāmat-e-husn meñ saanī hī nahīñ thā us kā
shar-e-be-faiz tirā zauq-e-tamāshā kam thā
ik ta.alluq thā jo TuuTā hai ki ham TuuTe haiñ
phir bhī lagtā hai ki ham ne use chāhā kam thā
Top Urdushayar.com