Khalid Mahmood Zaki

guzri hui wo rut kabhi aani to hai nahin

Khalid Mahmood Zaki

guzrī huī vo rut kabhī aanī to hai nahīñ
dil ne magar ye baat bhī maanī to hai nahīñ
ai qissa-go ye lahja tirā yuuñ kabhī na thā
kuchh to batā ye kyā hai kahānī to hai nahīñ
kuchh us ke muskurāne se andāza ho to ho
andar kī choT hai nazar aanī to hai nahīñ
phir us galī na jaane pe raazī huā to hai
ab ke bhī dil ne baat nibhānī to hai nahīñ
vo baat ab kahāñ ki diloñ ko kare ġhulām
bas ik chamak hai aañkh meñ paanī to hai nahīñ
duniyā tire liye jo guzārī guzār dī
ab ye jo rah ga.ī hai gañvānī to hai nahīñ
Top Urdushayar.com