shab ke hāthoñ girā aur kahīñ rah gayā
chāñd phir be-falak be-zamīñ rah gayā
chalte rahte to milne kā imkān thā
jo jahāñ ruk gayā vo vahīñ rah gayā
ḳhud ko kho.e hue kyā kise DhūñDte
tum kahīñ rah ga.e maiñ kahīñ rah gayā
kaun rakkhe hisāb-e-shab-o-roz jab
shab kahīñ rah ga.ī din kahīñ rah gayā
kho gayā jo bhī zād-e-safar paas thā
ḳhvāb oḌhe hue ik yaqīñ rah gayā
tum mile hī kahāñ milne jaise mujhe
maiñ jahāñ thā vahīñ kā vahīñ rah gayā
sab guzartā gayā sab guzarne diyā
phir bhī kyā kyā na dal ke qarīñ rah gayā
maiñ uThā.e hue ye badan chal paḌā
dil bhī raazī thā phir bhī vahīñ rah gayā
ba.ad muddat ke ab sochnā bhī hai kyā
paas kyā rah gayā kyā nahīñ rah gayā