Khalid Mahmood Zaki

ek paikar hai ki imsal mein aata hi nahin

Khalid Mahmood Zaki

ek paikar hai ki imsāl meñ aatā hī nahīñ
jaise ā.īna ḳhad-o-ḳhāl meñ aatā hī nahīñ
āsmāñ kā ye qafas qaid kare bhī kaise
dil vo panchhī ki par-o-bāl meñ aatā hī nahīñ
ham jise dekhte haiñ us ke alāva bhī hai
ik zamāna jo mah-o-sāl meñ aatā hī nahīñ
apne rahne ko bhī kiyā shahr milā hai jis kā
haal ye hai ki kisī haal meñ aatā hī nahīñ
māntā kab hai kisī sūd-o-ziyāñ ko ye dil
aisā vahshī hai kisī chaal meñ aatā hī nahīñ
Top Urdushayar.com