banā banā ke aks ḳhadd-o-ḳhāl rakh diye ga.e
ki aa.ine haTā diye ḳhayāl rakh diye ga.e
jo baat qatl kī ga.ī vahī to ek baat thī
suḳhan-sarā-e-vaqt meñ malāl rakh diye ga.e
koī na ḳhud ko pā sake ye aur baat hai magar
kamī kajī ke rañg meñ kamāl rakh diye ga.e
kabhī jo ek shahr thā qafas banā diyā gayā
jahāñ bhī rakkhe jā sake the jaal rakh diye ga.e
daraḳht kaaT kaaT kar kushādgī to kī ga.ī
saroñ pe jaltī dhuup ke vabāl rakh diye ga.e
kabhī jo haq diyā gayā to is tarah diyā gayā
ki faisle ke darmiyān saal rakh diye ga.e
diloñ ko chhū ga.ī thī jo vo tāzgī nahīñ rahī
bhale se ab suḳhan meñ sau kamāl rakh diye ga.e
mohabbatoñ meñ chāhiye thī puḳhtagī so is liye
firāq rakh diye ga.e visāl rakh diye ga.e
vo shahr be-misāl thā vo shahr lā-zavāl thā
phir us kī iiñT iiñT meñ zavāl rakh diye ga.e