ajab ik baat us kī baat meñ thī
ki ḳhushbū peḌ ke har paat meñ thī
tumheñ ham se mohabbat kā gilā thā
mohabbat kab hamāre haath meñ thī
ye aise the ki ḳhush aate bahut the
koī ḳhushbū inhī din raat meñ thī
ajab mausam tumhāre ba.ad aa.e
ajab be-raunaqī barsāt meñ thī
añdhere meñ nazar aane lagā thā
koī to raushnī zulmāt meñ thī
ga.e vaqtoñ meñ aisā to nahīñ thā
yahī duniyā thī aur auqāt meñ thī
kahīñ to vaqt jaise ruk gayā thā
kahīñ par umr bhī lamhāt meñ thī
huā thā vāqi.a kuchh aur lekin
ḳhabar kuchh aur aḳhbārāt meñ thī
bahut thī dhuup meñ shiddat bhī 'ḳhālid'
magar talḳhī jo ehsāsāt meñ thī