Khalid Mahmood Zaki

mubtala KHud ko kisi gham mein musalsal rakhna

Khalid Mahmood Zaki

mubtalā ḳhud ko kisī ġham meñ musalsal rakhnā
aur us ġham ko tirī aañkh se ojhal rakhnā
chāñd khiḌkī meñ kabhī dhuup meñ bādal rakhnā
dhyān rakhnā jo kisī kā to har ik pal rakhnā
chalnā sīkhā hī nahīñ raah se haT kar ham ne
ik qadam us kī taraf ik sū-e-maqtal rakhnā
dekhnā maañd na paḌ jaa.eñ ġham-e-hijr meñ ye
tum shab-e-vasl kā in āñkhoñ meñ kājal rakhnā
ik zarā baat se is jaan pe ban aatī thī
raas aayā bhī to ġham se ise bojhal rakhnā
jis ko kahnā thā usī ko nahīñ kahnā aur phir
kaise andeshoñ meñ ḳhud ko yūñhī pāgal rakhnā
aisā lagnā ki ye āñkheñ to barastī hī nahīñ
sail-e-ġham se magar andar koī jal-thal rakhnā
ham to is arsa-e-hastī meñ jhulaste hī rahe
na huā dhuup meñ ik ḳhvāb kā bādal rakhnā
Top Urdushayar.com