Khalid Mahmood Zaki

tufan samajh liya kabhi sahil bana liya

Khalid Mahmood Zaki

tūfāñ samajh liyā kabhī sāhil banā liyā
ai shauq-e-be-amāñ tujhe manzil banā liyā
ab jism-o-jān-e-nāz pe TūTeñ qayāmateñ
us se gurez kyā jise hāsil banā liyā
kuchh intihā-e-shauq ke the silsile ajab
mushkil nahīñ thā jo use mushkil banā liyā
jis din ki intizār thā karnā nahīñ kiyā
ḳhud ko mizāj-e-yār ke qābil banā liyā
us raah par chale jo zamāne se haT ke thī
aur kār-e-zindagī tujhe mushkil banā liyā
chhoḌā nahīñ banā.e banā zimme jo bhī thā
phir bhī nahīñ kuchh aisā ki be-dil banā liyā
jab chāhā ai samay tujhe raunaq se kaaT kar
ḳhalvat-nashīnī-e-shab-e-mahfil banā liyā
paanī hī kyā havā bhī nahīñ e'tibār kī
ye jaan kar Thikāna sar-e-gil banā liyā
Top Urdushayar.com