vaah kyā daur hai kyā log haiñ kyā hotā hai
ye bhī mat kah ki jo kahiye to gilā hotā hai
kyā batā.eñ tumheñ ab kyā nahīñ hotā hai yahāñ
bas ye jaano ki jo hotā hai burā hotā hai
de ke dukh auroñ ko vo kaun sā sukh pā.egā
aisī bātoñ se bhalā kis kā bhalā hotā hai
ab vo din duur nahīñ dekhnā tum bhī yaaro
amn ke naam pe kyā fitna bapā hotā hai
phir saf-ārā huiiñ faujeñ lab-e-dariyā-e-furāt
ham ko ma.alūm hai is jañg meñ kyā hotā hai
aaj phir dil meñ uThā hai vahī derīna savāl
aise mazlūmoñ kā kyā koī ḳhudā hotā hai
ik zarā haal to dekho mirā ai dost mire
tum hī socho koī aise meñ ḳhafā hotā hai
yuuñ to har raat hī rahtī hai ajab bechainī
aaj kuchh dard mire dil meñ sivā hotā hai