ham ne to sochā bhī nahīñ thā aisā din bhī aa.egā
apnoñ kā yuuñ ruḳh badlegā sab se jī bhar jā.egā
dil meñ jo hai sab kah Daalo vaqt bahut kam baaqī hai
kaun yahāñ hai dost tumhārā jo dushman ho jā.egā
kaise kaise pyāre sāthī kaisī kaisī bāteñ thiiñ
kis ko kyā ma.alūm thā yaaro kaun kahāñ chhuT jā.egā
pyaar ke badle nafrat paa.ī nafrat bhī itnī gahrī
aisā kyuuñ hai kyuuñ hai aisā koī samajh na pā.egā
mat pūchho ham ko apnoñ ne kaise kaise zaḳhm diye
gar ye qissa chheḌ diyā to sab kā jī bhar aa.egā
āñkhoñ meñ ab ashk nahīñ haiñ siine meñ ab aah nahīñ
us kī baat karo mat mujh se dard bahut baḌh jā.egā
apnā bhī ik yaar thā aisā jis se kuchh kah lete the
ab jo dil kā bojh baḌhegā kis ke dar par jā.egā
pyaar mohabbat laag lagāo ke baare meñ mat socho
rahā-sahā jo bharam bachā hai yuuñ vo bhī uTh jā.egā
ghar se be-ghar ho kar ham to maare maare phirte haiñ
ye banjārā dil dekho ab ham ko kidhar le jā.egā
ham ne to apnī kah Daalī tum bhī to kuchh apnī kaho
dil kī baat karo kuchh yaaro dil halkā ho jā.egā