Jafar Abbas

apne lail-o-nahaar ki baaten

Jafar Abbas

apne lail-o-nahār kī bāteñ
jabr kī iḳhtiyār kī bāteñ
har taraf kab se ho rahī haiñ yahāñ
gardish-e-rozgār kī bāteñ
chār-sū yaañ pe maujzan haiñ sarāb
ziist ke regzār kī bāteñ
ik zamāna guzar gayā yūñhī
ham haiñ aur dasht-e-ḳhār kī bāteñ
is kaḌī dhuup meñ mazāhib meñ
shajar-e-sāya-dār kī bāteñ
hai zamīñ saḳht āsmāñ chup hai
vaah re parvardigār kī bāteñ
jis kī ik bhī jhalak na dekhī kabhī
kyā hoñ us parda-dār kī bāteñ
mat karo be-hisār kī bāteñ
mat karo be-kanār kī bāteñ
ye jo pyārī zamīñ milī hai tumheñ
bas karo is dayār kī bāteñ
gar karo apne dil kī baat karo
haañ isī sogvār kī bāteñ
Top Urdushayar.com