ik ik kar ke ho ga.e ruḳhsat ab koī armān nahīñ
dil meñ gahrā sannāTā hai ab koī mehmān nahīñ
tum ne bhī sun rakkhā hogā ham bhī sunte aa.e haiñ
jis ke dil meñ dard na ho vo patthar hai insān nahīñ
dard kaḌā ho to bhī aksar patthar ban jaate haiñ log
marne kī ummīd nahīñ hai jiine kā sāmān nahīñ
kuchh mat bolo chup ho jaao bātoñ meñ kyā rakkhā hai
kyuuñ karte ho aisī bāteñ jin bātoñ meñ jaan nahīñ
auroñ jaisī bāteñ mujh ko bhī karnī paḌtī haiñ roz
ye to merī majbūrī hai ye merī pahchān nahīñ
merī bāteñ sīdhī sachchī un meñ koī pech nahīñ
in ko 'mīr' kī ġhazleñ jaano 'ġhālib' kā dīvān nahīñ
dil ko bahlāne kī ḳhātir ham bhī kyā kyā karte haiñ
ḳhuub samajhtā hai vo bhī sab aisā bhī nādān nahīñ
raat ga.e aksar yuuñ hī kyuuñ phuuT phuuT kar rote ho
ḳhaak tale sone vāloñ se milne kā imkān nahīñ
vo thā mere dukh kā sāthī aur tumheñ kyā batlā.eñ
us kā merā jo rishta thā us rishte kā naam nahīñ
vo hotā to phir bhī shāyad dard pe kuchh qaabū rahtā
tanhā.ī se tanhā laḌnā kuchh aisā āsān nahīñ