Ainuddin Azim

dard tera mere sine se nikala na gaya

Ainuddin Azim

dard terā mire siine se nikālā na gayā
ik muhājir ko madīne se nikālā na gayā
maiñ tire saath guzāre hue din jiitā rahā
ek pal bhī tujhe jiine se nikālā na gayā
ek motī bhī na ubhrā mirī āñkhoñ meñ kabhī
tere bin kuchh bhī dafīne se nikālā na gayā
jab nikālā hai mujhe dil se to rote kyuuñ ho
tum se kāñTā bhī qarīne se nikālā na gayā
luqma-e-tar na milegā tire nāzuk tan ko
gar mire ḳhuun pasīne se nikālā na gayā
maiñ ne māñgā thā bas ik dhuup kā TukḌā 'āzim'
vo bhī sāvan ke mahīne se nikālā na gayā
Top Urdushayar.com