Ainuddin Azim

tahi-daman barhana-pa rawana ho gaya hun

Ainuddin Azim

tahī-dāman barhana-pā ravāna ho gayā huuñ
tabāhī chal tire shāna-ba-shāna ho gayā huuñ
tirī raftār par qurbān jā.ūñ ai taraqqī
maiñ apne ahd meñ guzrā zamāna ho gayā huuñ
mere atrāf rahtā hai hujūm-e-nā-murādī
jabīn-e-nā-rasā meñ āstāna ho gayā huuñ
havā kī taan par gaate haiñ mujh ko ḳhushk patte
maiñ har TuuTe hue dil kā tarāna ho gayā huuñ
mirī miTTī meñ ab merī haqīqat DhūñDhtī hai
maiñ duniyā ke liye jab se fasāna ho gayā huuñ
mirā bhī tazkira hone lagā dānishvaroñ meñ
to kyā phir maiñ bhī 'āzim' kuchh divāna ho gayā huuñ
Top Urdushayar.com