maiñ ne jab had se guzarne kā irāda kar liyā
manzil-e-dushvār ko tai pā-piyāda kar liyā
be-haqīqat ho ga.e merī nazar meñ mehr-o-māh
maiñ ne jab ghar ke diye se istifāda kar liyā
āñsuoñ ne ġham ko uryāñ kar diyā hotā magar
dil kī ġhairat ne tabassum ko labāda kar liyā
amn kī sab shāhrāheñ tañg ho kar rah ga.iiñ
hādsoñ ne rāsta kitnā kushāda kar liyā
umr bhar 'āzim' rahegā nashsha-e-ġham kā ḳhumār
aañkh ko paimāna-e-ḳhūñ dil ko baada kar liyā