kyā karūñ zarf-e-shanāsā.ī ko
maiñ taras jaatā huuñ tanhā.ī ko
ḳhāmushī zor-e-bayāñ hotī hai
rāsta dījiye goyā.ī ko
tere jalvoñ kī farāvānī hai
aur kyā chāhiye bīnā.ī ko
un kī har baat bahut mīThī hai
muñh lagāte nahīñ sachchā.ī ko
ai samundar maiñ qatīl-e-ġham huuñ
jāntā huuñ tirī gahrā.ī ko
baiThā rahtā huuñ akelā yūñhī
yaad kar ke tirī yaktā.ī ko
khīñch le jaate haiñ kuchh dīvāne
apnī jānib tire saudā.ī ko
uf tamāsha-gah-e-duniyā 'āzim'
kitnī fursat hai tamāshā.ī ko