Ainuddin Azim

sataish na kijiye tabrra sahi

Ainuddin Azim

satā.ish na kījiye tabrra sahī
nahīñ bint-e-añgūr Tharrā sahī
ta.assur nahīñ un ke ruḳh par na ho
hai qur.āñ to qur.āñ muarrā sahī
magar kitne sūraj haiñ dushman mire
mirī haisiyat ek zarra sahī
kahāñ chain tere junūñ-kār ko
ġham-e-do-jahāñ se mubarrā sahī
badan dar badan ishq rūh-e-ravāñ
zamāñ dar zamāñ ek Dharrā sahī
ra.ūnat ġharībī kā mahsūl hai
sukhī ko saḳhāvat kā ġharrā sahī
piyeñge yūñhī hañs ke ham zahr-e-ġham
hamāre liye roz-marra sahī
milā kuchh to qātil se 'āzim' tumheñ
pas-e-dāġh-e-dil ek chharrā sahī
Top Urdushayar.com