Ainuddin Azim

aawaz ke saudagaron mein itni fankari to hai

Ainuddin Azim

āvāz ke saudāgaroñ meñ itnī fankārī to hai
sher-o-adab ke naam hī par garm-bāzārī to hai
koī kahe koī sune koī likhe koī paḌhe
har dil ko bahlā.e ġhazal bik jaa.e bechārī to hai
kavvoñ ke aage guñg haiñ kyā tūtiyāñ ki bulbuleñ
ahl-e-chaman haiñ mutma.in rasm-e-suḳhan jaarī to hai
maanā zamīn-e-karbalā par dastaras mumkin nahīñ
lekin sar-e-kūfa yazīdoñ kī amal-dārī to hai
in shā.iroñ meñ ek do shā.er bhī haiñ mahfil-zada
sad-āfrīñ in Thekā-dāroñ meñ ravā-dārī to hai
kis ne kahā 'āzim' ḳhushāmad jī-huzūrī aib hai
rāh-e-talab hamvār karne kī kalā-kārī to hai
Top Urdushayar.com