Ainuddin Azim

tumhaare bin ab ke jaan-e-jaan maine id karne ki Than li hai

Ainuddin Azim

tumhāre bin ab ke jān-e-jāñ maiñ ne iid karne kī Thaan lī hai
ġhamoñ ke ek ek pal se ḳhushiyāñ kashīd karne kī Thaan lī hai
maiñ us kī bātoñ kā zahr apnī ḳhamoshiyoñ meñ utaar lūñgā
agar muzir hai to maiñ ne us ko mufīd karne kī Thaan lī hai
talāsh kī shiddatoñ ne arz-o-samā kī sab dūriyāñ miTā diiñ
so maiñ ne ab terī justujū ko shadīd karne kī Thaan lī hai
machine bonā hai jin kā pesha unheñ zamīñ bech dī hai tum ne
kisān ho kar ḳhud apnī miTTī palīd karne kī Thaan lī hai
ye merī tahzīb kā asāsa hī merī pahchān ban sakegā
tamām kohna rivāyatoñ ko jadīd karne kī Thaan lī hai
siyāh shab kā ġhanīm shāyad ki aa gayā raushnī kī zad meñ
sabhī charāġhoñ ko jis ne 'āzim' shahīd karne kī Thaan lī hai
Top Urdushayar.com