vahshat meñ dil kitnā kushāda karnā paḌtā hai
in giilī āñkhoñ ko sahrā karnā paḌtā hai
mujh ko ik āvāz tirī sunñe kī koshish meñ
kitne sannāToñ kā pīchhā karnā paḌtā hai
tab khultī hai ham par qadr-o-qīmat phūloñ kī
jab kāñToñ ke saath guzārā karnā paḌtā hai
yaar baḌā ban kar rahnā āsān nahīñ hotā
apne aap ko kitnā chhoTā karnā paḌtā hai
koh-e-girāñ haa.il hotā hai jis ke raste meñ
ik din us ko tez dhamāka karnā paḌtā hai
apne ghar kī bāteñ 'āzim' ghar tak rakhne meñ
dīvār-o-dar se samjhautā karnā paḌtā hai