jo maiñ ne kah diyā us se mukarne vaalā nahīñ
ki āsmān zamīñ par utarne vaalā nahīñ
maiñ reza reza huuñ lekin namī abhī tak hai
havā.eñ laakh chaleñ maiñ bikharne vaalā nahīñ
maiñ jāntā huuñ vo achchhe dinoñ kā sāthī hai
bure dinoñ meñ idhar se guzarne vaalā nahīñ
hamāre shahr meñ chehra nahīñ rahā shāyad
paḌe haiñ ā.ina-ḳhāne sañvarne vaalā nahīñ
tire karam kā sazā-vār maiñ huuñ yā dil hai
diyā hai tū ne vo kaasa jo bharne vaalā nahīñ
kahāñ kā ḳhvāb musāfir kī aañkh meñ 'āzim'
ki bahte paanī meñ manzar Thaharne vaalā nahīñ